HAZRAT ALI SHER-E-KHUDA (A.S)


Hazrat Ali (A.S)

Jisne Kisi Ko Akele Me Nasihat Ki Usne Usse Sanwar Dya.

Or Jisne Kisi Ko Sb K Samne Nasihat Ki Usne Usko Mazed Bigar Dya.

 

Farman-e-Hazrat Ali (A.S)
Tum acha karo or zamana tumhay bura samjhe, ye tumhare haq mai behtar hai bajaye es k tum bura karo or zamana tumhen acha samjhe

 

“You have guard your wealth, but knowledge will guard you. Therefore, knowledge is better than wealth.
Hazrat Ali (A.S)

 

Hazrat Ali (A.S)
“Bura dost aag ki manind hy” Agr jalta hoga to apko jala dega” “or agr bujha hoga to ap k hath kale kar dega”
 

 

Farman-e-Hazrat Ali (A.S)*****
Koi GUNAH Lazat k lye mat krna que k Lazat khatam ho jaegi GUNAH baqi rahega or koi NEKI taklif ki waja se mat chorna que k taklif khatam ho jae gi NEKI baqi rahegi..
 

 

Hazrat Ali (A.S)

Logon se is tarhan se milo ke agar mar jao to wo tum par roein aur agar zinda raho to wo tumse milne ki khuwahish rakhte hon.
 

 

Hazrat Ali (A.S) Se Pocha Gaya:
Dunia Ka Sab Se Ameer Shakhs Kaun Hai?
Jawab Mila:
Dunia Ka Sab Se Ameer Shakhs Wo Hai
Jis K Dost Mukhlis (Hamdard)Hon

 

Momin Ki Aadat Hey K Woh Khushi Mien Shukar Guzar. Takleef Mien Sabir, Aur Khush Hali Mien Apney Malik Say DArta Hey
(Hazrat Ali. (A.S)

 
Ikhtiar, Taqat Aur Dolat Mailne Par Logg

Badaltay Nahi, Balkay Be-Naqab Hote Hain.”

“Hazrat Ali (A.S.)”
 

 

Jab Tum Duniya Ki Muflasi Se Tang Aa Jao

Aur Rizq Ka Koi Rasta Na Niklay

To Sadqa De Kar ALLAH Se Tijaarat Karo.”

“Hazrat Ali (A.S.)”
 

 

Sabar Ki 2 Surtain Hain.
1- Jo Na Pasand Ho Usay Bardasht Karna.
2- Jo Pasand Ho Uss Ka Intezaar Karna.


Hazrat Ali (A.S.)
 

 

Din Ki Roshni Main Rizq Talash Karo,

Aur Raat Ki Taariki Main Usay Talash Karo,

Jo Tumhain Rizq Deta Hai.”

“Hazrat Ali ( A.S. )”
 

 

“Hazrat Ali ( A.S. )”

Yeh Na Socho Allah Dua Foran Qabool Kyun Nahi Karta,

Yeh Shukar Karo Ke Allah Hamare Gunahon Ki Saza Foran Nahi Deta.”

 
“Hazrat Ali (A.S) Agar Tumhai’n Yaqeen Ho Jaye k Tumhara RIZQ ALLAH k Paas Hy Tou Phir RIZQ Ki Talash Na Kro Bal k ALLAH Ki Talash Kro Jis K Paas Tumhara RIZQ Hy …
(Hazrat Ali (A.S )
 

 

Log aam tor pr Aib se Yaqenan Khali nhe,
ps kisi k Posheda aib Zahir na kro
q k unka Faisla ALLAH k hath me hay”.
Hazrat ALi (A.S)
 

 

Hazrat Ali::( A.S ) ne farmaya

Jahan sadaqat aur khaloos nazar aaye wahan
dosti ka hath barhaoo,
earna tumhari tanhai tumhari behtareen sathi hai…………….

 

A LOGO dunya sirf ak guzar gah hai or akhrat mustakil rehnay
ki jaga hai, lehaza tum log apni guzur gah se apni aakhrat ki tayari
kar lo. (HAZTAT ALI A.S)

 

( HAZRAT ALI A.S )

DOST CHAHAY JITNA BHI BURA BAN JAYE,
KABHI USSAY DISTI KHATAM NAHE KARNA,
KYUN K PANI CHAHAY JITNA BHI GANDA HO JAYE,
AAG BHUJANAY K LIYE KAFI HUTA HAI.
 

 

HAZRAT ALI (A.S)

"Agar kisi ka banna chahtay ho to poori Haqeeqat se ban jao,
Warna apni zaat mein aisi haqeeqat paida kr lo k koi haqeeqat may tumhara ban jaey."
 

 

Hazrat Ali (A.S),
"kisi bhi shaks se tum narazgi ka lamha itna taweel na kero woh tumharay beghair hi jeena seekh lay"
 

 


"Tanhai Mein Gunaah say Bacho,
Q k
Iska Gawaah Allah Ta'alah khud Hai "
Hazrat Ali (A.S)

 

Farman-e-Hazrat Ali (A.S)
Koi GUNAH Lazat k lye mat krna que k Lazat khatam ho jaegi GUNAH baqi rahega or koi NEKI taklif ki waja se mat chorna que k taklif khatam ho jae gi NEKI baqi rahegi.

 

Har ibadaat hay meri yad e ali k saye me
kat rahi hy zindagi aulaad e ali k saye me
Moot khud mamoor hy meri hifazaat k liye
har ghari rehta hun main nad e ali k saye me

 

HEAD OFFICE ZIARAT-E-KHWAJA  

SHAH SYED ZAKARIA GURDEZI

S/O SHAH SYED ADBUL GHANI GURDEZI

KHWAJA MAHAL & BANGLADESH BARI
Post.Box No-116,

DARGAH SHARIF,

    AJMER (INDIA)

E-MAIL:- zakariagurdezi@ziaratekhwaja.com

     zakariagurdezi@gmail.com   &  dargahsharif@gmail.com

Chhati Ajmer,Dargah,Chhati Sharif,Chatti Sharif,Chati Ajmer,Chhati Sharif Ajmer

Phone: 0091-145-2423825, 2620512
Mobile: 91-9829073492,9928533249,9928996786
Fax: 0091-145-2431824